!

!

Tuesday, August 9, 2011

Tu...

Zindagi me thokrein to bahut hen khayi,
par sambhalne ko bas tera hi sahara tha.
Dukh se aankhien nam to kai baar hui,
hasne ko bas tera hi bahana tha.

Jab bhi laga gum ho gaya hun mein,
tujhe hi manzil bana leta mein.
Mehsoos hua hi akela ho gaya hun mein,
teri yaadon ko saathi bana leta mein.

Kitni baaton se anjaan tha,
unse roobaroo tune karaya.
Kaisa bhi sukh-dukh jo aaya,
usme saathi tune banaya.

Laga darr kabhi kisi baat se,
himmat ko tune badhaya.
Hua yun ki nahi lag rha kuch bhi aasaan,
tab saath reh tune raasta dikhaya.

Andhere me roshni ki kiran he tu,
zinda hun uski wajah he tu.
Bhagwaan ko jaanta nhi mein,
par uski ek jhalak he tu.

Aayi thi ek umang jab mila tha tujhse,
laga tha is sansar k hein kuch maayene.
Lagta tha koi nhi he mere paas,
tujhe paa kar aur kisi ki chah na rhi.

Aadat nhi meri zaroorat he tu.
is life ki complete definition he tu.
Pinjre me kaid panchee k liye,
unmukt gagan ki aas he tu.

Lagta he adhoora sa tu nhi he jo paas,
lagta he bura jab rutha ho koi khaas.
Bayaan karte nhi bante afsos k alfaaz,
kar sako hume maaf, bas yahi he darkhast.


PS:-
1) Hey. This is my my first attempt @ poetry or serious blogging per se. I hope i haven't disappointed the readers. ;)
2) Dedicated to??? Don't wonder :P
3) More to come. :)